Mirza Ghalib

maze jahan ke apni nazar mein KHak nahin

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
maze jahān ke apnī nazar meñ ḳhaak nahīñ
sivā.e ḳhūn-e-jigar so jigar meñ ḳhaak nahīñ
magar ġhubār hue par havā uḌā le jaa.e
vagarna taab o tavāñ bāl-o-par meñ ḳhaak nahīñ
ye kis bahīsht-shamā.il kī aamad aamad hai
ki ġhair-e-jalva-e-gul rahguzar meñ ḳhaak nahīñ
bhalā use na sahī kuchh mujhī ko rahm aatā
asar mire nafas-e-be-asar meñ ḳhaak nahīñ
ḳhayāl-e-jalva-e-gul se ḳharāb haiñ mai-kash
sharāb-ḳhāne ke dīvār-o-dar meñ ḳhaak nahīñ
huā huuñ ishq kī ġhārat-garī se sharminda
sivā.e hasrat-e-tāmīr ghar meñ ḳhaak nahīñ
hamāre sher haiñ ab sirf dil-lagī ke 'asad'
khulā ki fā.eda arz-e-hunar meñ ḳhaak nahīñ
Top Urdushayar.com