Mirza Ghalib

hai aarmidagi mein nikohish baja mujhe

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
hai ārmīdagī meñ nikohish bajā mujhe
sub.h-e-vatan hai ḳhanda-e-dandāñ-numā mujhe
DhūñDe hai us muġhanni-e-ātish-nafas ko jī
jis kī sadā ho jalva-e-barq-e-fanā mujhe
mastāna tai karūñ huuñ rah-e-vādi-e-ḳhayāl
tā bāz-gasht se na rahe mudda.ā mujhe
kartā hai bas-ki baaġh meñ tū be-hijābiyāñ
aane lagī hai nik.hat-e-gul se hayā mujhe
khultā kisī pe kyuuñ mire dil kā mo.āmla
sheroñ ke intiḳhāb ne rusvā kiyā mujhe
vaañ rañg-hā ba-parda-e-tadbīr haiñ hunūz
yaañ shola-e-charāġh hai barg-e-hinā mujhe
parvāz-hā niyāz-e-tamāshā-e-husn-e-dost
bāl-e-kushāda hai nigah-e-āshnā mujhe
az-ḳhud-guzashtagī meñ ḳhamoshī pe harf hai
mauj-e-ġhubār-e-surma huī hai sadā mujhe
tā chand past fitrati-e-tab-e-ārzū
yā rab mile bulandī-e-dast-e-duā mujhe
maiñ ne junūñ se kī jo 'asad' iltimās-e-rañg
ḳhūn-e-jigar meñ ek hī ġhota diyā mujhe
hai pech-tāb rishta-e-sham-e-sahar-gahī
ḳhajlat gudāzī-e-nafas-e-nā-rasā mujhe
yaañ āb-o-dāna mausam-e-gul meñ harām hai
zunnār-e-vā-gusista hai mauj-e-sabā mujhe
yakbār imtihān-e-havas bhī zarūr hai
ai josh-e-ishq bāda-e-mard-āzmā mujhe
Top Urdushayar.com