Mirza Ghalib

latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
latāfat be-kasāfat jalva paidā kar nahīñ saktī
chaman zañgār hai ā.īna-e-bād-e-bahārī kā
harīf-e-joshish-e-dariyā nahīñ ḳhuddārī-e-sāhil
jahāñ saaqī ho tū bātil hai da.avā hoshiyārī kā
bahār-e-rañg-e-ḳhūn-e-gul hai sāmāñ ashk-bārī kā
junūn-e-barq nashtar hai rag-e-abr-e-bahārī kā
barā-e-hall-e-mushkil huuñ zi-pā uftāda-e-hasrat
bañdhā hai uqda-e-ḳhātir se paimāñ ḳhāksārī kā
ba-vaqt-e-sar-nigūnī hai tasavvur intizāristāñ
nigah ko ābloñ se shaġhl hai aḳhtar-shumārī kā
'asad' sāġhar-kash-e-taslīm ho gardish se gardūñ kī
ki nañg-e-fahm-e-mastāñ hai gila bad-rozg-ārī kā
Top Urdushayar.com