us bazm meñ mujhe nahīñ bantī hayā kiye
baiThā rahā agarche ishāre huā kiye
dil hī to hai siyāsat-e-darbāñ se Dar gayā
maiñ aur jā.ūñ dar se tire bin sadā kiye
rakhtā phirūñ huuñ ḳhirqa o sajjāda rahn-e-mai
muddat huī hai dāvat āb-o-havā kiye
be-sarfa hī guzartī hai ho garche umr-e-ḳhizr
hazrat bhī kal kaheñge ki ham kyā kiyā kiye
maqdūr ho to ḳhaak se pūchhūñ ki ai la.iim
tū ne vo gunjhā-e-girāñ-māya kyā kiye
kis roz tohmateñ na tarāshā kiye adū
kis din hamāre sar pe na aare chalā kiye
sohbat meñ ġhair kī na paḌī ho kahīñ ye ḳhū
dene lagā hai bosa baġhair iltijā kiye
zid kī hai aur baat magar ḳhū burī nahīñ
bhūle se us ne saikḌoñ va.ade vafā kiye
'ġhālib' tumhīñ kaho ki milegā javāb kyā
maanā ki tum kahā kiye aur vo sunā kiye