Mirza Ghalib

bala se hain jo ye pesh-e-nazar dar-o-diwar

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
balā se haiñ jo ye pesh-e-nazar dar-o-dīvār
nigāh-e-shauq ko haiñ bāl-o-par dar-o-dīvār
vufūr-e-ashk ne kāshāne kā kiyā ye rañg
ki ho ga.e mire dīvār-o-dar dar-o-dīvār
nahīñ hai saaya ki sun kar naved-e-maqdam-e-yār
ga.e haiñ chand qadam pesh-tar dar-o-dīvār
huī hai kis qadar arzāni-e-mai-e-jalva
ki mast hai tire kūche meñ har dar-o-dīvār
jo hai tujhe sar-e-saudā-e-intizār to aa
ki haiñ dukān-e-matā-e-nazar dar-o-dīvār
hujūm-e-girya kā sāmān kab kiyā maiñ ne
ki gir paḌe na mire paañv par dar-o-dīvār
vo aa rahā mire ham-sā.e meñ to saa.e se
hue fidā dar-o-dīvār par dar-o-dīvār
nazar meñ khaTke hai bin tere ghar kī ābādī
hamesha rote haiñ ham dekh kar dar-o-dīvār
na pūchh be-ḳhudi-e-aish-e-maqdam-e-sailāb
ki nāchte haiñ paḌe sar-ba-sar dar-o-dīvār
na kah kisī se ki 'ġhālib' nahīñ zamāne meñ
harīf-e-rāz-e-mohabbat magar dar-o-dīvār
Top Urdushayar.com