Mirza Ghalib

ghair len mahfil mein bose jam ke

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
ġhair leñ mahfil meñ bose jaam ke
ham raheñ yuuñ tishna-lab paiġhām ke
ḳhastagī kā tum se kyā shikva ki ye
hathkanDe haiñ charḳh-e-nīlī-fām ke
ḳhat likheñge garche matlab kuchh na ho
ham to āshiq haiñ tumhāre naam ke
raat pī zamzam pe mai aur sub.h-dam
dho.e dhabbe jāma-e-ehrām ke
dil ko āñkhoñ ne phañsāyā kyā magar
ye bhī halqe haiñ tumhāre daam ke
shaah ke hai ġhusl-e-sehhat kī ḳhabar
dekhiye kab din phireñ hammām ke
ishq ne 'ġhālib' nikammā kar diyā
varna ham bhī aadmī the kaam ke
Top Urdushayar.com