Mirza Ghalib

aamad-e-KHat se hua hai sard jo bazar-e-dost

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
āmad-e-ḳhat se huā hai sard jo bāzār-e-dost
dūd-e-sham-e-kushta thā shāyad ḳhat-e-ruḳhsār-e-dost
ai dil-e-nā-āqibat-andesh zabt-e-shauq kar
kaun lā saktā hai tāb-e-jalva-e-dīdār-e-dost
ḳhāna-vīrāñ-sāzī-e-hairat tamāshā kījiye
sūrat-e-naqsh-e-qadam huuñ rafta-e-raftār-e-dost
ishq meñ bedād-e-rashk-e-ġhair ne maarā mujhe
kushta-e-dushman huuñ āḳhir garche thā bīmār-e-dost
chashm-e-mā raushan ki us bedard kā dil shaad hai
dīda-e-pur-ḳhūñ hamārā sāġhar-e-sarshār-e-dost
ġhair yuuñ kartā hai merī pursish us ke hijr meñ
be-takalluf dost ho jaise koī ġham-ḳhvār-e-dost
taaki maiñ jānūñ ki hai us kī rasā.ī vaañ talak
mujh ko detā hai payām-e-vāda-e-dīdār-e-dost
jab ki maiñ kartā huuñ apnā shikva-e-zof-e-dimāġh
sar kare hai vo hadīs-e-zulf-e-ambar-bār-e-dost
chupke chupke mujh ko rote dekh paatā hai agar
hañs ke kartā hai bayān-e-shoḳhī-e-guftār-e-dost
mehrbānī-hā-e-dushman kī shikāyat kījiye
tā bayāñ kiije sipās-e-lazzat-e-āzār-e-dost
ye ġhazal apnī mujhe jī se pasand aatī hai aap
hai radīf-e-sher meñ 'ġhālib' zi-bas takrār-e-dost
chashm-e-band-e-ḳhalq juz timsāl-e-ḳhud-bīnī nahīñ
aa.ina hai qālib-e-ḳhisht-e-dar-o-dīvār-e-dost
barq-e-ḳhirman-zār gauhar hai nigāh-e-tez yaañ
ashk ho jaate haiñ ḳhushk az-garmī-e-raftār-e-dost
hai savā neze pe us ke qāmat-e-nau-ḳhez se
āftāb-e-sub.h-e-mahshar hai gul-e-dastār-e-dost
ai adū-e-maslahat chand ba-zabt afsurda rah
kardanī hai jam.a tāb-e-shoḳhī-e-dīdār-e-dost
laġhzishat-e-mastāna o josh-e-tamāshā hai 'asad'
ātish-e-mai se bahār-e-garmī-e-bāzār-e-dost
Top Urdushayar.com