chāhiye achchhoñ ko jitnā chāhiye
ye agar chāheñ to phir kyā chāhiye
sohbat-e-rindāñ se vājib hai hazar
jā-e-mai apne ko khīñchā chāhiye
chāhne ko tere kyā samjhā thā dil
baare ab is se bhī samjhā chāhiye
chaak mat kar jaib be-ayyām-e-gul
kuchh udhar kā bhī ishārā chāhiye
dostī kā parda hai begānagī
muñh chhupānā ham se chhoḌā chāhiye
dushmanī ne merī khoyā ġhair ko
kis qadar dushman hai dekhā chāhiye
apnī rusvā.ī meñ kyā chaltī hai sa.ī
yaar hī hañgāma-ārā chāhiye
munhasir marne pe ho jis kī umiid
nā-umīdī us kī dekhā chāhiye
ġhāfil in mah-tal.atoñ ke vāste
chāhne vaalā bhī achchhā chāhiye
chāhte haiñ ḳhūb-rūyoñ ko 'asad'
aap kī sūrat to dekhā chāhiye