lāzim thā ki dekho mirā rastā koī din aur
tanhā ga.e kyuuñ ab raho tanhā koī din aur
miT jā.egā sar gar tirā patthar na ghisegā
huuñ dar pe tire nāsiya-farsā koī din aur
aa.e ho kal aur aaj hī kahte ho ki jā.ūñ
maanā ki hamesha nahīñ achchhā koī din aur
jaate hue kahte ho qayāmat ko mileñge
kyā ḳhuub qayāmat kā hai goyā koī din aur
haañ ai falak-e-pīr javāñ thā abhī aarif
kyā terā bigaḌtā jo na martā koī din aur
tum māh-e-shab-e-chār-dahum the mire ghar ke
phir kyuuñ na rahā ghar kā vo naqshā koī din aur
tum kaun se the aise khare dād-o-sitad ke
kartā malak-ul-maut taqāzā koī din aur
mujh se tumheñ nafrat sahī nayyar se laḌā.ī
bachchoñ kā bhī dekhā na tamāshā koī din aur
guzrī na ba-har-hāl ye muddat ḳhush o nā-ḳhush
karnā thā javāñ-marg guzārā koī din aur
nādāñ ho jo kahte ho ki kyuuñ jiite haiñ 'ġhālib'
qismat meñ hai marne kī tamannā koī din aur