Mirza Ghalib

bagh pa kar KHafaqani ye Daraata hai mujhe

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
baaġh pā kar ḳhafaqānī ye Darātā hai mujhe
sāya-e-shāḳh-e-gul af.ī nazar aatā hai mujhe
jauhar-e-teġh ba-sar-chashma-e-dīgar mālūm
huuñ maiñ vo sabza ki zahrāb ugātā hai mujhe
mudda.ā mahv-e-tamāshā-e-shikast-e-dil hai
ā.ina-ḳhāna meñ koī liye jaatā hai mujhe
naala sarmāya-e-yak-ālam o aalam kaf-e-ḳhāk
āsmāñ baiza-e-quamrī nazar aatā hai mujhe
zindagī meñ to vo mahfil se uThā dete the
dekhūñ ab mar ga.e par kaun uThātā hai mujhe
baaġh tujh bin gul-e-nargis se Darātā hai mujhe
chāhūñ gar sair-e-chaman aañkh dikhātā hai mujhe
shor-e-timsāl hai kis rashk-e-chaman kā yā rab
aa.ina baiza-e-bulbul nazar aatā hai mujhe
hairat-e-ā.ina anjām-e-junūñ huuñ jyuuñ sham.a
kis qadar dāġh-e-jigar shola uThātā hai mujhe
maiñ huuñ aur hairat-e-jāved magar zauq-e-ḳhayāl
ba-fusūn-e-nigah-e-nāz satātā hai mujhe
hairat-e-fikr-e-suḳhan sāz-e-salāmat hai 'asad'
dil pas-e-zānū-e-ā.īna biThātā hai mujhe
Top Urdushayar.com