dhamkī meñ mar gayā jo na bāb-e-nabard thā
ishq-e-nabard-pesha talabgār-e-mard thā
thā zindagī meñ marg kā khaTkā lagā huā
uḌne se pesh-tar bhī mirā rañg zard thā
tālīf nusḳha-hā-e-vafā kar rahā thā maiñ
majmūa-e-ḳhayāl abhī fard fard thā
dil tā jigar ki sāhil-e-dariyā-e-ḳhūñ hai ab
is rahguzar meñ jalva-e-gul aage gard thā
jaatī hai koī kashmakash andoh-e-ishq kī
dil bhī agar gayā to vahī dil kā dard thā
ahbāb chārasāzi-e-vahshat na kar sake
zindāñ meñ bhī ḳhayāl bayābāñ-navard thā
ye lāsh-e-be-kafan 'asad'-e-ḳhasta-jāñ kī hai
haq maġhfirat kare ajab āzād mard thā