qafas meñ huuñ gar achchhā bhī na jāneñ mere shevan ko
mirā honā burā kyā hai navā-sanjān-e-gulshan ko
nahīñ gar hamdamī āsāñ na ho ye rashk kyā kam hai
na dī hotī ḳhudāyā ārzū-e-dost dushman ko
na niklā aañkh se terī ik aañsū us jarāhat par
kiyā siine meñ jis ne ḳhūñ-chakāñ mizhgān-e-sozan ko
ḳhudā sharmā.e hāthoñ ko ki rakhte haiñ kashākash meñ
kabhī mere garebāñ ko kabhī jānāñ ke dāman ko
abhī ham qatl-gah kā dekhnā āsāñ samajhte haiñ
nahīñ dekhā shanāvar jū-e-ḳhūñ meñ tere tausan ko
huā charchā jo mere paañv kī zanjīr banñe kā
kiyā betāb kaañ meñ jumbish-e-jauhar ne aahan ko
ḳhushī kyā khet par mere agar sau baar abr aave
samajhtā huuñ ki DhūñDe hai abhī se barq ḳhirman ko
vafā-dārī ba-shart-e-ustuvārī asl īmāñ hai
mare but-ḳhāne meñ to ka.abe meñ gaaḌo barahman ko
shahādat thī mirī qismat meñ jo dī thī ye ḳhū mujh ko
jahāñ talvār ko dekhā jhukā detā thā gardan ko
na luTtā din ko to kab raat ko yuuñ be-ḳhabar sotā
rahā khaTkā na chorī kā duā detā huuñ rahzan ko
suḳhan kyā kah nahīñ sakte ki juuyā huuñ javāhir ke
jigar kyā ham nahīñ rakhte ki khodeñ jā ke ma.adan ko
mire shāh-e-sulaimāñ-jāh se nisbat nahīñ 'ġhālib'
farīdūn o jam o ke ḳhusrav o dārāb o bahman ko