rashk kahtā hai ki us kā ġhair se iḳhlās haif
aql kahtī hai ki vo be-mehr kis kā āshnā
zarra zarra sāġhar-e-mai-ḳhāna-e-nai-rañg hai
gardish-e-majnūñ ba-chashmak-hā-e-lailā āshnā
shauq hai sāmāñ-tarāz-e-nāzish-e-arbāb-e-ajz
zarra sahrā-dast-gāh o qatra dariyā-āshnā
maiñ aur ek aafat kā TukḌā vo dil-e-vahshī ki hai
āfiyat kā dushman aur āvārgī kā āshnā
shikva-sañj-e-rashk-e-ham-dīgar na rahnā chāhiye
merā zaanū monis aur ā.īna terā āshnā
kohkan naqqāsh-e-yak-timsāl-e-shīrīñ thā 'asad'
sañg se sar maar kar hove na paidā āshnā
ḳhud-parastī se rahe bāham-digar nā-āshnā
bekasī merī sharīk ā.īna terā āshnā
ātish-e-mū-e-dimāġh-e-shauq hai terā tapāk
varna ham kis ke haiñ ai dāġh-e-tamannā āshnā
jauhar-e-ā.īna juz ramz-e-sar-e-mizhgāñ nahīñ
āshnā kī ham-digar samjhe hai iimā āshnā
rabt-e-yak-shīrāza-e-vahshat haiñ ajzā-e-bahār
sabza begāna sabā āvāra gul nā-āshnā
be-dimāġhī shikva-sañj-e-rashk-e-ham-dīgar nahīñ
yaar terā jām-e-mai ḳhamyāza merā āshnā