har ek baat pe kahte ho tum ki tū kyā hai
tumhīñ kaho ki ye andāz-e-guftugū kyā hai
na sho.ale meñ ye karishma na barq meñ ye adā
koī batāo ki vo shoḳh-e-tund-ḳhū kyā hai
ye rashk hai ki vo hotā hai ham-suḳhan tum se
vagarna ḳhauf-e-bad-āmozi-e-adū kyā hai
chipak rahā hai badan par lahū se pairāhan
hamāre jaib ko ab hājat-e-rafū kyā hai
jalā hai jism jahāñ dil bhī jal gayā hogā
kuredte ho jo ab raakh justujū kyā hai
ragoñ meñ dauḌte phirne ke ham nahīñ qaa.il
jab aañkh hī se na Tapkā to phir lahū kyā hai
vo chiiz jis ke liye ham ko ho bahisht aziiz
sivā.e bāda-e-gulfām-e-mushk-bū kyā hai
piyūñ sharāb agar ḳhum bhī dekh luuñ do-chār
ye shīsha o qadah o kuuza o subū kyā hai
rahī na tāqat-e-guftār aur agar ho bhī
to kis umiid pe kahiye ki aarzū kyā hai
huā hai shah kā musāhib phire hai itrātā
vagarna shahr meñ 'ġhālib' kī aabrū kyā hai