Mirza Ghalib

kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-mu aae

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
kahte to ho tum sab ki but-e-ġhāliyā-mū aa.e
yak martaba ghabrā ke kaho koī ki vo aa.e
huuñ kashmakash-e-naz.a meñ haañ jazb-e-mohabbat
kuchh kah na sakūñ par vo mire pūchhne ko aa.e
hai sā.iqa o sho.ala o sīmāb kā aalam
aanā hī samajh meñ mirī aatā nahīñ go aa.e
zāhir hai ki ghabrā ke na bhāgeñge nakīrain
haañ muñh se magar bāda-e-doshīnā kī bū aa.e
jallād se Darte haiñ na vaa.iz se jhagaḌte
ham samjhe hue haiñ use jis bhes meñ jo aa.e
haañ ahl-e-talab kaun sune tāna-e-nā-yāfat
dekhā ki vo miltā nahīñ apne hī ko kho aa.e
apnā nahīñ ye sheva ki ārām se baiTheñ
us dar pe nahīñ baar to ka.abe hī ko ho aa.e
kī ham-nafasoñ ne asar-e-giryā meñ taqrīr
achchhe rahe aap is se magar mujh ko Dubo aa.e
us anjuman-e-nāz kī kyā baat hai 'ġhālib'
ham bhī ga.e vaañ aur tirī taqdīr ko ro aa.e
Top Urdushayar.com