dekh kar dar-parda garm-e-dāman-afshānī mujhe
kar ga.ī vābasta-e-tan merī uryānī mujhe
ban gayā teġh-e-nigāh-e-yār kā sañg-e-fasāñ
marhabā maiñ kyā mubārak hai girāñ-jānī mujhe
kyuuñ na ho be-iltifātī us kī ḳhātir jam.a hai
jāntā hai mahv-e-pursish-hā-e-pinhānī mujhe
mere ġham-ḳhāne kī qismat jab raqam hone lagī
likh diyā min-jumla-e-asbāb-e-vīrānī mujhe
bad-gumāñ hotā hai vo kāfir na hotā kaash ke
is qadar zauq-e-navā-e-murġh-e-bustānī mujhe
vaa.e vaañ bhī shor-e-mahshar ne na dam lene diyā
le gayā thā gor meñ zauq-e-tan-āsānī mujhe
va.ada aane kā vafā kiije ye kyā andāz hai
tum ne kyuuñ sauñpī hai mere ghar kī darbānī mujhe
haañ nashāt-e-āmad-e-fasl-e-bahārī vaah vaah
phir huā hai taaza saudā-e-ġhazal-ḳhvānī mujhe
dī mire bhaa.ī ko haq ne az-sar-e-nau zindagī
mīrzā yūsuf hai 'ġhālib' yūsuf-e-sānī mujhe