fāriġh mujhe na jaan ki mānind-e-sub.h-o-mehr
hai dāġh-e-ishq zīnat-e-jeb-e-kafan hunūz
hai nāz-e-muflisāñ zar-e-az-dast-rafta par
huuñ gul-farosh-e-shoḳhi-e-dāġh-e-kohan hunūz
mai-ḳhāna-e-jigar meñ yahāñ ḳhaak bhī nahīñ
ḳhamyāza khīñche hai but-e-be-dād-fan hunūz
juuñ jaada sar-ba-kū-e-tamannā-e-be-dilī
zanjīr-e-pā hai rishta-e-hubbul-vatan hunūz