Mirza Ghalib

hazaron KHwahishen aisi ki har KHwahish pe dam nikle

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869

hazāroñ ḳhvāhisheñ aisī ki har ḳhvāhish pe dam nikle

bahut nikle mire armān lekin phir bhī kam nikle

Dare kyuuñ merā qātil kyā rahegā us gardan par

vo ḳhuuñ jo chashm-e-tar se umr bhar yuuñ dam-ba-dam nikle

nikalnā ḳhuld se aadam sunte aa.e haiñ lekin

bahut be-ābrū ho kar tire kūche se ham nikle

bharam khul jaa.e zālim tere qāmat darāzī

agar is turra-e-pur-pech-o-ḳham pech-o-ḳham nikle

magar likhvā.e koī us ko ḳhat to ham se likhvā.e

huī sub.h aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle

huī is daur meñ mansūb mujh se bāda-ashāmī

phir aayā vo zamāna jo jahāñ meñ jām-e-jam nikle

huī jin se tavaqqo ḳhastagī daad paane

vo ham se bhī ziyāda ḳhasta-e-teġh-e-sitam nikle

mohabbat meñ nahīñ hai farq jiine aur marne

usī ko dekh kar jiite haiñ jis kāfir pe dam nikle

kahāñ mai-ḳhāne darvāza 'ġhālib' aur kahāñ vaa.iz

par itnā jānte haiñ kal vo jaatā thā ki ham nikle

Top Urdushayar.com