zaḳhm par chhiḌkeñ kahāñ tiflān-e-be-parvā namak
kyā maza hotā agar patthar meñ bhī hotā namak
gard-e-rāh-e-yār hai sāmān-e-nāz-e-zaḳhm-e-dil
varna hotā hai jahāñ meñ kis qadar paidā namak
mujh ko arzānī rahe tujh ko mubārak hojiyo
nāla-e-bulbul kā dard aur ḳhanda-e-gul kā namak
shor-e-jaulāñ thā kanār-e-bahr par kis kā ki aaj
gard-e-sāhil hai ba-zaḳhm-e-mauja-e-dariyā namak
daad detā hai mire zaḳhm-e-jigar kī vaah vaah
yaad kartā hai mujhe dekhe hai vo jis jā namak
chhoḌ kar jaanā tan-e-majrūh-e-āshiq haif hai
dil talab kartā hai zaḳhm aur māñge haiñ a.azā namak
ġhair kī minnat na khīñchūñgā pai-e-taufīr-e-dard
zaḳhm misl-e-ḳhanda-e-qātil hai sar-tā-pā namak
yaad haiñ 'ġhālib' tujhe vo din ki vajd-e-zauq meñ
zaḳhm se girtā to maiñ palkoñ se chuntā thā namak
is amal meñ aish kī lazzat nahīñ miltī 'asad'
zor nisbat mai se rakhtā hai azārā kā namak