tum apne shikve kī bāteñ na khod khod ke pūchho
hazar karo mire dil se ki is meñ aag dabī hai
dilā ye dard-o-alam bhī to muġhtanim hai ki āḳhir
na girya-e-saharī hai na āh-e-nīm-shabī hai
nazar ba-naqs-e-gadāyāñ kamāl-e-be-adabī hai
ki ḳhār-e-ḳhushk ko bhī dāvā-e-chaman-nasabī hai
huā visāl se shauq-e-dil-e-harīs ziyāda
lab-e-qadah pe kaf-e-bāda josh-e-tishna-labī hai
ḳhushā vo dil ki sarāpā tilism-e-be-ḳhabarī ho
junūn o yaas o alam rizq-e-mudda.ā-talabī hai
chaman meñ kis ke ye barham hui hai bazm-e-tamāshā
ki barg barg-e-saman shīsha reza-e-halabī hai
imām-e-zāhir-o-bātin amīr-e-sūrat-o-ma.anī
'alī' valī asadullāh jānashīn-e-nabī hai