Mirza Ghalib

hai bazm-e-butan mein suKHan aazurda-labon se

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
hai bazm-e-butāñ meñ suḳhan āzurda-laboñ se
tañg aa.e haiñ ham aise ḳhushāmad-talaboñ se
hai daur-e-qadah vaj.h-e-pareshānī-e-sahbā
yak-bār lagā do ḳhum-e-mai mere laboñ se
rindān-e-dar-e-mai-kada gustāḳh haiñ zāhid
zinhār na honā taraf in be-adaboñ se
bedād-e-vafā dekh ki jaatī rahī āḳhir
har-chand mirī jaan ko thā rabt laboñ se
kyā pūchhe hai bar-ḳhud ġhalatī-hā-e-azīzāñ
ḳhvārī ko bhī ik aar hai a.ālī-nasaboñ se
go tum ko razā-jūī-e-aġhyār hai lekin
jaatī hai mulāqāt kab aise sababoñ se
mat pūchh 'asad' va.ada-e-kam-fursatī-e-zīst
do din bhī jo kaaTe tū qayāmat ta.aboñ se
Top Urdushayar.com