ġham-e-duniyā se gar paa.ī bhī fursat sar uThāne kī
falak kā dekhnā taqrīb tere yaad aane kī
khulegā kis tarah mazmūñ mire maktūb kā yā-rab
qasam khaa.ī hai us kāfir ne kāġhaz ke jalāne kī
lipaTnā parniyāñ meñ shola-e-ātish kā pinhāñ hai
vale mushkil hai hikmat dil meñ soz-e-ġham chhupāne kī
unheñ manzūr apne zaḳhmiyoñ kā dekh aanā thā
uThe the sair-e-gul ko dekhnā shoḳhī bahāne kī
hamārī sādgī thī iltifāt-e-nāz par marnā
tirā aanā na thā zālim magar tamhīd jaane kī
lakad kūb-e-havādis kā tahammul kar nahīñ saktī
mirī tāqat ki zāmin thī butoñ kī naaz uThāne kī
kahūñ kyā ḳhūbi-e-auzā-e-abnā-e-zamāñ 'ġhālib'
badī kī us ne jis se ham ne kī thī bār-hā nekī