Mirza Ghalib

phir hua waqt ki ho baal-kusha mauj-e-sharab

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
phir huā vaqt ki ho bāl-kushā mauj-e-sharāb
de bat-e-mai ko dil-o-dast-e-shanā mauj-e-sharāb
pūchh mat vaj.h-e-siyah-mastī-e-arbāb-e-chaman
sāya-e-tāk meñ hotī hai havā mauj-e-sharāb
jo huā ġharqa-e-mai baḳht-e-rasā rakhtā hai
sar se guzre pe bhī hai bāl-e-humā mauj-e-sharāb
hai ye barsāt vo mausam ki ajab kyā hai agar
mauj-e-hastī ko kare faiz-e-havā mauj-e-sharāb
chaar mauj uThtī hai tūfān-e-tarab se har sū
mauj-e-gul mauj-e-shafaq mauj-e-sabā mauj-e-sharāb
jis qadar rūh-e-nabātī hai jigar tishna-e-nāz
de hai taskīñ ba-dam-e-āb-e-baqā mauj-e-sharāb
bas-ki dauḌe hai rag-e-tāk meñ ḳhuuñ ho ho kar
shahpar-e-rañg se hai bāl-kushā mauj-e-sharāb
mauja-e-gul se charāġhāñ hai guzar-gāh-e-ḳhayāl
hai tasavvur meñ zi-bas jalva-numā mauj-e-sharāb
nashshe ke parde meñ hai mahv-e-tamāshā-e-dimāġh
bas-ki rakhtī hai sar-e-nash-o-numā mauj-e-sharāb
ek aalam pe haiñ tūfāni-e-kaifiyat-e-fasl
mauja-e-sabza-e-nau-ḳhez se tā mauj-e-sharāb
sharh-e-hañgāma-e-hastī hai zahe mausam-e-gul
rah-bar-e-qatrā-ba-dariyā hai ḳhoshā mauj-e-sharāb
hosh uḌte haiñ mire jalva-e-gul dekh 'asad'
phir huā vaqt ki ho bāl-kushā mauj-e-sharāb
Top Urdushayar.com