arz-e-nāz-e-shoḳhi-e-dandāñ barā.e-ḳhanda hai
dāvā-e-jamiyat-e-ahbāb jā-e-ḳhanda hai
hai adam meñ ġhuncha mahv-e-ibrat-e-anjām-e-gul
yak-jahāñ zaanū ta.ammul dar-qafā-e-ḳhanda hai
kulfat-e-afsurdagī ko aish-e-betābī harām
varna dandāñ dar dil afshurdan binā-e-ḳhanda hai
shorish-e-bātin ke haiñ ahbāb munkir varna yaañ
dil muhīt-e-girya o lab āshnā-e-ḳhanda hai
ḳhud-faroshī-hā-e-hastī bas-ki jā-e-ḳhanda hai
har shikast-e-qīmat-e-dil meñ sadā-e-ḳhanda hai
naqsh-e-ibrat dar nazar yā naqd-e-ishrat dar bisāt
do-jahāñ vus.at ba-qadr-e-yak-fa.zā-e-ḳhanda hai
jā-e-istihzā hai ishrat-koshi-e-hastī 'asad'
sub.h o shabnam fursat-e-nashv-o-numā-e-ḳhanda hai