lāġhar itnā huuñ ki gar tū bazm meñ jā de mujhe
merā zimma dekh kar gar koī batlā de mujhe
kyā ta.ajjub hai jo us ko dekh kar aa jaa.e rahm
vaañ talak koī kisī hiile se pahuñchā de mujhe
muñh na dikhlāve na dikhlā par ba-andāz-e-itāb
khol kar parda zarā āñkheñ hī dikhlā de mujhe
yaañ talak merī giraftārī se vo ḳhush hai ki maiñ
zulf gar ban jā.ūñ to shāne meñ uljhā de mujhe