Mirza Ghalib

bisat-e-ijz mein tha ek dil yak qatra KHun wo bhi

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
bisāt-e-ijz meñ thā ek dil yak qatra ḳhuuñ vo bhī
so rahtā hai ba-andāz-e-chakīdan sar-nigūñ vo bhī
rahe us shoḳh se āzurda ham chande takalluf se
takalluf bartaraf thā ek andāz-e-junūñ vo bhī
ḳhayāl-e-marg kab taskīñ dil-e-āzurda ko baḳhshe
mire dām-e-tamannā meñ hai ik said-e-zabūñ vo bhī
na kartā kaash naala mujh ko kyā mālūm thā hamdam
ki hogā bā.is-e-afzā.ish-e-dard-e-darūñ vo bhī
na itnā burrish-e-teġh-e-jafā par naaz farmāo
mire dariyā-e-be-tābī meñ hai ik mauj-e-ḳhūñ vo bhī
mai-e-ishrat kī ḳhvāhish sāqi-e-gardūñ se kyā kiije
liye baiThā hai ik do chaar jām-e-vāzh-gūñ vo bhī
mire dil meñ hai 'ġhālib' shauq-e-vasl o shikva-e-hijrāñ
ḳhudā vo din kare jo us se maiñ ye bhī kahūñ vo bhī
mujhe ma.alūm hai jo tū ne mere haq meñ sochā hai
kahīñ ho jaa.e jald ai gardish-e-gardūn-e-dūñ vo bhī
nazar rāhat pe merī kar na va.ada shab ke aane kā
ki merī ḳhvāb-bandī ke liye hogā fusūñ vo bhī
Top Urdushayar.com