Mirza Ghalib

ruKH-e-nigar se hai soz-e-jawidani-e-shama

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
ruḳh-e-nigār se hai soz-e-jāvidānī-e-sham.a
huī hai ātish-e-gul āb-e-zindagānī-e-sham.a
zabān-e-ahl-e-zabāñ meñ hai marg-e-ḳhāmoshī
ye baat bazm meñ raushan huī zabānī-e-sham.a
kare hai sarf ba-īmā-e-sho.ala qissa tamām
ba-tarz-e-ahl-e-fanā hai fasāna-ḳhvānī-e-sham.a
ġham us ko hasrat-e-parvāna kā hai ai sho.ale
tire larazne se zāhir hai nā-tavānī-e-sham.a
tire ḳhayāl se ruuh ehtizāz kartī hai
ba-jalva-rezi-e-bād-o-ba-par-fishānī-e-sham.a
nashāt-e-dāġh-e-ġham-e-ishq kī bahār na pūchh
shaguftagī hai shahīd-e-gul-e-ḳhizānī-e-sham.a
jale hai dekh ke bālīn-e-yār par mujh ko
na kyuuñ ho dil pe mire dāġh-e-bad-gumānī-e-sham.a
Top Urdushayar.com