Mirza Ghalib

hai bas-ki har ek un ke ishaare mein nishan aur

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
hai bas-ki har ik un ke ishāre meñ nishāñ aur
karte haiñ mohabbat to guzartā hai gumāñ aur
yā-rab vo na samjhe haiñ na samjheñge mirī baat
de aur dil un ko jo na de mujh ko zabāñ aur
abrū se hai kyā us nigah-e-nāz ko paivand
hai tiir muqarrar magar is kī hai kamāñ aur
tum shahr meñ ho to hameñ kyā ġham jab uTheñge
le ā.eñge bāzār se jā kar dil o jaañ aur
har chand subuk-dast hue but-shikanī meñ
ham haiñ to abhī raah meñ hai sañg-e-girāñ aur
hai ḳhūn-e-jigar josh meñ dil khol ke rotā
hote jo ka.ī dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ aur
martā huuñ is āvāz pe har chand sar uḌ jaa.e
jallād ko lekin vo kahe jaa.eñ ki haañ aur
logoñ ko hai ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kā dhokā
har roz dikhātā huuñ maiñ ik dāġh-e-nihāñ aur
letā na agar dil tumheñ detā koī dam chain
kartā jo na martā koī din āh-o-fuġhāñ aur
paate nahīñ jab raah to chaḌh jaate haiñ naale
ruktī hai mirī tab.a to hotī hai ravāñ aur
haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhan-var bahut achchhe
kahte haiñ ki 'ġhālib' kā hai andāz-e-bayāñ aur
Top Urdushayar.com