dīvāngī se dosh pe zunnār bhī nahīñ
ya.anī hamāre jeb meñ ik taar bhī nahīñ
dil ko niyāz-e-hasrat-e-dīdār kar chuke
dekhā to ham meñ tāqat-e-dīdār bhī nahīñ
milnā tirā agar nahīñ āsāñ to sahl hai
dushvār to yahī hai ki dushvār bhī nahīñ
be-ishq umr kaT nahīñ saktī hai aur yaañ
tāqat ba-qadr-e-lazzat-e-āzār bhī nahīñ
shorīdgī ke haath se hai sar vabāl-e-dosh
sahrā meñ ai ḳhudā koī dīvār bhī nahīñ
gunjā.ish-e-adāvat-e-aġhyār yak taraf
yaañ dil meñ zo.af se havas-e-yār bhī nahīñ
Dar nāla-hā-e-zār se mere ḳhudā ko maan
āḳhir navā-e-murġh-e-giraftār bhī nahīñ
dil meñ hai yaar kī saf-e-mizhgāñ se rū-kashī
hālāñki tāqat-e-ḳhalish-e-ḳhār bhī nahīñ
is sādgī pe kaun na mar jaa.e ai ḳhudā
laḌte haiñ aur haath meñ talvār bhī nahīñ
dekhā 'asad' ko ḳhalvat-o-jalvat meñ bār-hā
dīvāna gar nahīñ hai to hushyār bhī nahīñ