Mirza Ghalib

raha gar koi ta-qayamat salamat

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
rahā gar koī tā-qayāmat salāmat
phir ik roz marnā hai hazrat-salāmat
jigar ko mire ishq-e-ḳhūñ-nāba-mashrab
likhe hai ḳhudāvand-e-nemat salāmat
alarraġhm-e-dushamn shahīd-e-vafā huuñ
mubārak mubārak salāmat salāmat
nahīñ gar sar-o-barg-e-idrāk-e-ma.anī
tamāshā-e-nairañg-e-sūrat salāmat
do-ālam kī hastī pe ḳhatt-e-fanā khīñch
dil-o-dast-e-arbāb-e-himmat salāmat
nahīñ gar ba-kām-e-dil-e-ḳhasta gardūñ
jigar-ḳhāī-e-josh-e-hasrat salāmat
na auroñ kī suntā na kahtā huuñ apnī
sar-e-ḳhasta dushvār-e-vahshat salāmat
vafūr-e-balā hai hujūm-e-vafā hai
salāmat malāmat malāmat salāmat
na fikr-e-salāmat na bīm-e-malāmat
ze-ḳhud-raftagī-hā-e-hairat salāmat
rahe 'ġhālib'-e-ḳhasta maġhlūb-e-gardūñ
ye kyā be-niyāzī hai hazrat-salāmat
Top Urdushayar.com