harīf-e-matlab-e-mushkil nahīñ fusūn-e-niyāz
duā qubūl ho yā rab ki umr-e-ḳhizr darāz
na ho ba-harzah bayābāñ-navard-e-vahm-e-vajūd
hanūz tere tasavvur meñ hai nasheb-o-farāz
visāl jalva tamāshā hai par dimāġh kahāñ
ki diije ā.ina-e-intizār ko pardāz
har ek zarra-e-āshiq hai āftāb-parast
ga.ī na ḳhaak hue par havā-e-jalva-e-nāz
na pūchh vus.at-e-mai-ḳhāna-e-junūñ 'ġhālib'
jahāñ ye kāsa-e-gardūñ hai ek ḳhāk-andāz
fareb-e-san.at-e-ījād kā tamāshā dekh
nigāh aks-farosh o ḳhayāl ā.ina-sāz
zi-bas-ki jalva-e-sayyād hairat-ārā hai
uḌī hai safha-e-ḳhātir se sūrat-e-parvāz
hujūm-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai
ki shīsha nāzuk o sahbā-e-ābgīna-gudāz
'asad' se tark-e-vafā kā gumāñ vo ma.anī hai
ki khīñchiye par-e-tā.ir se sūrat-e-parvāz
hanūz ai asar-e-dīd nañg-e-rusvā.ī
nigāh fitna-ḳhirām o dar-e-do-ālam baaz