chaak kī ḳhvāhish agar vahshat ba-uryānī kare
sub.h ke mānind zaḳhm-e-dil garebānī kare
jalve kā tere vo aalam hai ki gar kiije ḳhayāl
dīda-e-dil ko ziyārat-gāh-e-hairānī kare
hai shikastan se bhī dil naumīd yā rab kab talak
ābgīna koh par arz-e-girāñ-jānī kare
mai-kada gar chashm-e-mast-e-nāz se paave shikast
mū-e-shīsha dīda-e-sāġhar kī mizhgānī kare
ḳhatt-e-āriz se likhā hai zulf ko ulfat ne ahd
yak-qalam manzūr hai jo kuchh pareshānī kare