Salim Saleem

kanar-e-ab tere pairahan badalne ka

Salim Saleem

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1985
kanār-e-āb tire pairahan badalne kā
mirī nigāh meñ manzar hai shaam Dhalne kā
ye kaisī aag hai mujh meñ ki ek muddat se
tamāsha dekh rahā huuñ maiñ apne jalne kā
sunā hai ghar pe mirā muntazir nahīñ koī
so ab ke baar maiñ hargiz nahīñ sambhalne kā
ḳhud apnī zaat pe markūz ho gayā huuñ maiñ
ki hausla hī nahīñ tere saath chalne kā
ab aa ga.e ho to phir umr bhar yahīñ Thahro
badan se koī bhī rasta nahīñ nikalne kā
'salīm' sham-e-vajūd aa ga.ī hai bujhne par
bas intizār karo mom ke pighalne kā
Top Urdushayar.com