Mirza Ghalib

dahr mein naqsh-e-wafa wajh-e-tasalli na hua

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
dahr meñ naqsh-e-vafā vaj.h-e-tasallī na huā
hai ye vo lafz ki sharminda-e-ma.anī na huā
sabza-e-ḳhat se tirā kākul-e-sarkash na dabā
ye zamurrad bhī harīf-e-dam-e-af.ī na huā
maiñ ne chāhā thā ki andoh-e-vafā se chhūTūñ
vo sitamgar mire marne pe bhī raazī na huā
dil guzargāh-e-ḳhayāl-e-mai-o-sāġhar hī sahī
gar nafas jāda-e-sar-manzil-e-taqvī na huā
huuñ tire va.ada na karne meñ bhī raazī ki kabhī
gosh minnat-kash-e-gulbāñg-e-tasallī na huā
kis se mahrūmī-e-qismat kī shikāyat kiije
ham ne chāhā thā ki mar jaa.eñ so vo bhī na huā
mar gayā sadma-e-yak-jumbish-e-lab se 'ġhālib'
nā-tavānī se harīf-e-dam-e-īsī na huā
na huī ham se raqam hairat-e-ḳhatt-e-ruḳh-e-yār
safha-e.ā.ina jaulāñ-gah-e-tūtī na huā
vus.at-e-rahmat-e-haq dekh ki baḳhshā jaave
mujh sā kāfir ki jo mamnūn-e-ma.āsī na huā
Top Urdushayar.com