Mirza Ghalib

aaina kyun na dun ki tamasha kahen jise

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
ā.īna kyuuñ na duuñ ki tamāshā kaheñ jise
aisā kahāñ se lā.ūñ ki tujh sā kaheñ jise
hasrat ne lā rakhā tirī bazm-e-ḳhayāl meñ
gul-dasta-e-nigāh suvaidā kaheñ jise
phūñkā hai kis ne gosh-e-mohabbat meñ ai ḳhudā
afsūn-e-intizār tamannā kaheñ jise
sar par hujūm-e-dard-e-ġharībī se Dāliye
vo ek musht-e-ḳhāk ki sahrā kaheñ jise
hai chashm-e-tar meñ hasrat-e-dīdār se nihāñ
shauq-e-ināñ guseḳhta dariyā kaheñ jise
darkār hai shaguftan-e-gul-hā-e-aish ko
sub.h-e-bahār pumba-e-mīnā kaheñ jise
'ġhālib' burā na maan jo vaa.iz burā kahe
aisā bhī koī hai ki sab achchhā kaheñ jise
yā rab hameñ to ḳhvāb meñ bhī mat dikhā.iyo
ye mahshar-e-ḳhayāl ki duniyā kaheñ jise
hai intizār se sharar ābād rustaḳhez
mizhgān-e-koh-kan rag-e-ḳhārā kaheñ jise
kis fursat-e-visāl pe hai gul ko andalīb
zaḳhm-e-firāq ḳhanda-e-be-jā kaheñ jise
Top Urdushayar.com