bas-ki dushvār hai har kaam kā āsāñ honā
aadmī ko bhī mayassar nahīñ insāñ honā
girya chāhe hai ḳharābī mire kāshāne kī
dar o dīvār se Tapke hai bayābāñ honā
vā-e-dīvāngi-e-shauq ki har dam mujh ko
aap jaanā udhar aur aap hī hairāñ honā
jalva az-bas-ki taqāzā-e-nigah kartā hai
jauhar-e-ā.ina bhī chāhe hai mizhgāñ honā
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannā mat pūchh
īd-e-nazzāra hai shamshīr kā uryāñ honā
le ga.e ḳhaak meñ ham dāġh-e-tamannā-e-nashāt
tū ho aur aap ba-sad-rañg-e-gulistāñ honā
ishrat-e-pāra-e-dil zaḳhm-e-tamannā khānā
lazzat-e-rīsh-e-jigar ġharq-e-namak-dāñ honā
kī mire qatl ke ba.ad us ne jafā se tauba
haa.e us zūd-pashīmāñ kā pashemāñ honā
haif us chaar girah kapḌe kī qismat 'ġhālib'
jis kī qismat meñ ho āshiq kā garebāñ honā