mehrbāñ ho ke bulā lo mujhe chāho jis vaqt
maiñ gayā vaqt nahīñ huuñ ki phir aa bhī na sakūñ
zo.af meñ tāna-e-aġhyār kā shikva kyā hai
baat kuchh sar to nahīñ hai ki uThā bhī na sakūñ
zahr miltā hī nahīñ mujh ko sitamgar varna
kyā qasam hai tire milne kī ki khā bhī na sakūñ
is qadar zabt kahāñ hai kabhī aa bhī na sakūñ
sitam itnā to na kiije ki uThā bhī na sakūñ
lag ga.ī aag agar ghar ko to andesha kyā
sho.ala-e-dil to nahīñ hai ki bujhā bhī na sakūñ
tum na aaoge to marne kī haiñ sau tadbīreñ
maut kuchh tum to nahīñ ho ki bulā bhī na sakūñ
hañs ke bulvā.iye miT jā.egā sab dil kā gila
kyā tasavvur hai tumhārā ki miTā bhī na sakūñ