Mirza Ghalib

gai wo baat ki ho guftugu to kyunkar ho

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
ga.ī vo baat ki ho guftugū to kyūñkar ho
kahe se kuchh na huā phir kaho to kyūñkar ho
hamāre zehn meñ us fikr kā hai naam visāl
ki gar na ho to kahāñ jaa.eñ ho to kyūñkar ho
adab hai aur yahī kashmakash to kyā kiije
hayā hai aur yahī gū-magū to kyūñkar ho
tumhīñ kaho ki guzārā sanam-parastoñ kā
butoñ kī ho agar aisī hī ḳhū to kyūñkar ho
ulajhte ho tum agar dekhte ho ā.īna
jo tum se shahr meñ hoñ ek do to kyūñkar ho
jise nasīb ho roz-e-siyāh merā sā
vo shaḳhs din na kahe raat ko to kyūñkar ho
hameñ phir un se ummīd aur unheñ hamārī qadr
hamārī baat hī pūchheñ na vo to kyūñkar ho
ġhalat na thā hameñ ḳhat par gumāñ tasallī kā
na maane dīda-e-dīdār jo to kyūñkar ho
batāo us mizha ko dekh kar ki mujh ko qarār
vo niish ho rag-e-jāñ meñ faro to kyūñkar ho
mujhe junūñ nahīñ 'ġhālib' vale ba-qaul-e-huzūr
firāq-e-yār meñ taskīn ho to kyūñkar ho
Top Urdushayar.com