Mirza Ghalib

kab wo sunta hai kahani meri

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
kab vo suntā hai kahānī merī
aur phir vo bhī zabānī merī
ḳhalish-e-ġhamza-e-ḳhūñ-rez na pūchh
dekh ḳhūnāba-fishānī merī
kyā bayāñ kar ke mirā ro.eñge yaar
magar āshufta-bayānī merī
huuñ za-ḳhud rafta-e-baidā-e-ḳhayāl
bhuul jaanā hai nishānī merī
mutaqābil hai muqābil merā
ruk gayā dekh ravānī merī
qadr-e-sañg-e-sar-e-rah rakhtā huuñ
saḳht arzāñ hai girānī merī
gard-bād-e-rah-e-betābī huuñ
sarsar-e-shauq hai baanī merī
dahan us kā jo na mālūm huā
khul ga.ī hech madānī merī
kar diyā zo.af ne aajiz 'ġhālib'
nañg-e-pīrī hai javānī merī
Top Urdushayar.com