masjid ke zer-e-sāya ḳharābāt chāhiye
bhauñ paas aañkh qibla-e-hājāt chāhiye
āshiq hue haiñ aap bhī ek aur shaḳhs par
āḳhir sitam kī kuchh to mukāfāt chāhiye
de daad ai falak dil-e-hasrat-parast kī
haañ kuchh na kuchh talāfī-e-māfāt chāhiye
sīkhe haiñ mah-ruḳhoñ ke liye ham musavvarī
taqrīb kuchh to bahr-e-mulāqāt chāhiye
mai se ġharaz nashāt hai kis rū-siyāh ko
ik-gūna be-ḳhudī mujhe din raat chāhiye
nashv-o-numā hai asl se 'ġhālib' furūa ko
ḳhāmoshī hī se nikle hai jo baat chāhiye
hai rañg-e-lāla-o-gul-o-nasrīñ judā judā
har rañg meñ bahār kā isbāt chāhiye
sar pā-e-ḳhum pe chāhiye hañgām-e-be-ḳhudī
rū sū-e-qibla vaqt-e-munājāt chāhiye
ya.anī ba-hasb-e-gardish-e-paimāna-e-sifāt
aarif hamesha mast-e-mai-e-zāt chāhiye