sādgī par us kī mar jaane kī hasrat dil meñ hai
bas nahīñ chaltā ki phir ḳhanjar kaf-e-qātil meñ hai
dekhnā taqrīr kī lazzat ki jo us ne kahā
maiñ ne ye jaanā ki goyā ye bhī mere dil meñ hai
garche hai kis kis burā.ī se vale bā.īñ-hama
zikr merā mujh se behtar hai ki us mahfil meñ hai
bas hujūm-e-nā-umīdī ḳhaak meñ mil jā.egī
ye jo ik lazzat hamārī sa.ī-e-be-hāsil meñ hai
rañj-e-rah kyuuñ khīñchiye vāmāndagī ko ishq hai
uTh nahīñ saktā hamārā jo qadam manzil meñ hai
jalva zār-e-ātish-e-dozaḳh hamārā dil sahī
fitna-e-shor-e-qayāmat kis ke āb-o-gil meñ hai
hai dil-e-shorīda-e-'ġhālib' tilism-e-pech-o-tāb
rahm kar apnī tamannā par ki kis mushkil meñ hai