Mirza Ghalib

nikohish hai saza fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar ki

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
nikohish hai sazā fariyādi-e-be-dād-e-dilbar kī
mabādā ḳhanda-e-dandāñ-numā ho sub.h mahshar kī
rag-e-lailā ko ḳhāk-e-dasht-e-majnūñ reshgī baḳhshe
agar bove bajā-e-dāna dahqāñ nok nishtar kī
par-e-parvāna shāyad bādbān-e-kashtī-e-mai thā
huī majlis kī garmī se ravānī daur-e-sāġhar kī
karūñ be-dād-e-zauq-e-par-fishānī arz kyā qudrat
ki tāqat uḌ ga.ī uḌne se pahle mere shahpar kī
kahāñ tak ro.uuñ us ke ḳheme ke pīchhe qayāmat hai
mirī qismat meñ yā-rab kyā na thī dīvār patthar kī
ba-juz dīvāngī hotā na anjām-e-ḳhud-ārā.ī
agar paidā na kartā aa.ina zanjīr jauhar kī
ġhurūr-e-lutf-e-sāqī nashsha-e-be-bākī-e-mastāñ
nam-e-dāmān-e-isyāñ hai tarāvat mauj-e-kausar kī
mirā dil māñgte haiñ āriyat ahl-e-havas shāyad
ye jaanā chāhte haiñ aaj dāvat meñ samundar kī
'asad' juz āb-e-baḳhshīdan ze-dariyā ḳhizr ko kyā thā
Dubotā chashma-e-haivāñ meñ gar kashtī sikandar kī
Top Urdushayar.com