nahīñ ki mujh ko qayāmat kā e'tiqād nahīñ
shab-e-firāq se roz-e-jazā ziyād nahīñ
koī kahe ki shab-e-mah meñ kyā burā.ī hai
balā se aaj agar din ko abr o baad nahīñ
jo aa.uuñ sāmne un ke to marhabā na kaheñ
jo jā.ūñ vaañ se kahīñ ko to ḳhair-bād nahīñ
kabhī jo yaad bhī aatā huuñ maiñ to kahte haiñ
ki aaj bazm meñ kuchh fitna-o-fasād nahīñ
alāva iid ke miltī hai aur din bhī sharāb
gadā-e-kūcha-e-mai-ḳhāna nā-murād nahīñ
jahāñ meñ ho ġham-e-shādī baham hameñ kyā kaam
diyā hai ham ko ḳhudā ne vo dil kī shaad nahīñ
tum un ke va.ade kā zikr un se kyuuñ karo 'ġhālib'
ye kyā ki tum kaho aur vo kaheñ ki yaad nahīñ