Mirza Ghalib

hasil se hath dho baiTh ai aarzu-KHirami

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
hāsil se haath dho baiTh ai ārzū-ḳhirāmī
dil josh-e-girya meñ hai Duubī huī asāmī
us sham.a kī tarah se jis ko koī bujhā de
maiñ bhī jale-huoñ meñ huuñ dāġh-e-nā-tamāmī
karte ho shikva kis kā tum aur bevafā.ī
sar pīTte haiñ apnā ham aur nek-nāmī
sad-rañg-e-gul katarnā dar-parda qatl karnā
teġh-e-adā nahīñ hai pāband-e-be-niyāmī
tarf-e-suḳhan nahīñ hai mujh se ḳhudā-na-karda
hai nāma-bar ko us se dāvā-e-ham-kalāmī
tāqat fasāna-e-bād andesha sho.ala-ījād
ai ġham hunūz ātish ai dil hunūz ḳhāmī
har chand umr guzrī āzurdagī meñ lekin
hai sharh-e-shauq ko bhī juuñ shikva nā-tamāmī
hai yaas meñ 'asad' ko saaqī se bhī farāġhat
dariyā se ḳhushk guzre mastoñ kī tishna-kāmī
Top Urdushayar.com