vo firāq aur vo visāl kahāñ
vo shab-o-roz o māh-o-sāl kahāñ
fursat-e-kārobār-e-shauq kise
zauq-e-nazzāra-e-jamāl kahāñ
dil to dil vo dimāġh bhī na rahā
shor-e-saudā-e-ḳhatt-o-ḳhāl kahāñ
thī vo ik shaḳhs ke tasavvur se
ab vo rānā.ī-e-ḳhayāl kahāñ
aisā āsāñ nahīñ lahū ronā
dil meñ tāqat jigar meñ haal kahāñ
ham se chhūTā qimār-ḳhāna-e-ishq
vaañ jo jāveñ girah meñ maal kahāñ
fikr-e-duniyā meñ sar khapātā huuñ
maiñ kahāñ aur ye vabāl kahāñ
muzmahil ho ga.e qavā ġhālib
vo anāsir meñ e'tidāl kahāñ
bose meñ vo muzā.iqa na kare
par mujhe tāqat-e-savāl kahāñ
falak-e-sifla be-muhābā hai
is sitam-gar ko infi.āl kahāñ