Mirza Ghalib

wo meri chin-e-jabin se gham-e-pinhan samjha

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
vo mirī chīn-e-jabīñ se ġham-e-pinhāñ samjhā
rāz-e-maktūb ba-be-rabti-e-unvāñ samjhā
yak alif besh nahīñ saiqal-e-ā.īna hanūz
chaak kartā huuñ maiñ jab se ki garebāñ samjhā
sharh-e-asbāb-e-giriftārī-e-ḳhātir mat pūchh
is qadar tañg huā dil ki maiñ zindāñ samjhā
bad-gumānī ne na chāhā use sargarm-e-ḳhirām
ruḳh pe har qatra araq dīda-e-hairāñ samjhā
ijz se apne ye jaanā ki vo bad-ḳhū hogā
nabz-e-ḳhas se tapish-e-shola-e-sozāñ samjhā
safar-e-ishq meñ kī zo.af ne rāhat-talabī
har qadam saa.e ko maiñ apne shabistāñ samjhā
thā gurezāñ mizha-e-yār se dil tā dam-e-marg
daf-e-paikān-e-qazā is qadar āsāñ samjhā
dil diyā jaan ke kyuuñ us ko vafādār 'asad'
ġhalatī kī ki jo kāfir ko musalmāñ samjhā
ham ne vahshat-kada-e-bazm-e-jahāñ meñ juuñ sham.a
sho.ala-e-ishq ko apnā sar-o-sāmāñ samjhā
Top Urdushayar.com