tapish se merī vaqf-e-kashmakash har tār-e-bistar hai
mirā sar rañj-e-bālīñ hai mirā tan bār-e-bistar hai
sarishk-e-sar ba-sahrā daada nūr-ul-ain-e-dāman hai
dil-e-be-dast-o-pā uftāda bar-ḳhurdār-e-bistar hai
ḳhushā iqbāl-e-rañjūrī ayādat ko tum aa.e ho
faroġh-e-sham-e-bālīñ tāla-e-bedār-e-bistar hai
ba-tūfāñ-gāh-e-josh-e-iztirāb-e-shām-e-tanhā.ī
shuā-e-āftāb-e-sub.h-e-mahshar tār-e-bistar hai
abhī aatī hai bū bālish se us kī zulf-e-mushkīñ kī
hamārī diid ko ḳhvāb-e-zuleḳhā ār-e-bistar hai
kahūñ kyā dil kī kyā hālat hai hijr-e-yār meñ ġhālib
ki betābī se har-yak tār-e-bistar ḳhār-e-bistar hai