Mirza Ghalib

milti hai KHu-e-yar se nar iltihab mein

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
miltī hai ḳhū-e-yār se naar iltihāb meñ
kāfir huuñ gar na miltī ho rāhat azaab meñ
kab se huuñ kyā batā.ūñ jahān-e-ḳharāb meñ
shab-hā-e-hijr ko bhī rakhūñ gar hisāb meñ
tā phir na intizār meñ niiñd aa.e umr bhar
aane kā ahd kar ga.e aa.e jo ḳhvāb meñ
qāsid ke aate aate ḳhat ik aur likh rakhūñ
maiñ jāntā huuñ jo vo likheñge javāb meñ
mujh tak kab un kī bazm meñ aatā thā daur-e-jām
saaqī ne kuchh milā na diyā ho sharāb meñ
jo munkir-e-vafā ho fareb us pe kyā chale
kyuuñ bad-gumāñ huuñ dost se dushman ke baab meñ
maiñ muztarib huuñ vasl meñ ḳhauf-e-raqīb se
Daalā hai tum ko vahm ne kis pech-o-tāb meñ
maiñ aur hazz-e-vasl ḳhudā-sāz baat hai
jaañ nazr denī bhuul gayā iztirāb meñ
hai tevrī chaḌhī huī andar naqāb ke
hai ik shikan paḌī huī tarf-e-naqāb meñ
lākhoñ lagāo ek churānā nigāh kā
lākhoñ banāv ek bigaḌnā itaab meñ
vo naala dil meñ ḳhas ke barābar jagah na paa.e
jis naala se shigāf paḌe āftāb meñ
vo sehr mudd.ā-talabī meñ na kaam aa.e
jis sehr se safīna ravāñ ho sarāb meñ
'ġhālib' chhuTī sharāb par ab bhī kabhī kabhī
piitā huuñ roz-e-abr o shab-e-māhtāb meñ
Top Urdushayar.com