arz-e-niyāz-e-ishq ke qābil nahīñ rahā
jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā
jaatā huuñ dāġh-e-hasrat-e-hastī liye hue
huuñ sham-e-kushta dar-ḳhur-e-mahfil nahīñ rahā
marne kī ai dil aur hī tadbīr kar ki maiñ
shāyān-e-dast-o-bāzū-e-qātil nahīñ rahā
bar-rū-e-shash-jahat dar-e-ā.īna baaz hai
yaañ imtiyāz-e-nāqis-o-kāmil nahīñ rahā
vā kar diye haiñ shauq ne band-e-naqāb-e-husn
ġhair-az-nigāh ab koī haa.il nahīñ rahā
go maiñ rahā rahīn-e-sitam-hā-e-rozgār
lekin tire ḳhayāl se ġhāfil nahīñ rahā
dil se havā-e-kisht-e-vafā miT ga.ī ki vaañ
hāsil sivā.e hasrat-e-hāsil nahīñ rahā
bedād-e-ishq se nahīñ Dartā magar 'asad'
jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā
har-chand maiñ huuñ tūti-e-shīrīñ-suḳhan vale
ā.īna aah mere muqābil nahīñ rahā
jāñ-dād-gāñ kā hausla fursat-gudāz hai
yaañ arsa-e-tapīdan-e-bismil nahīñ rahā
huuñ qatra-zan ba-vādī-e-hasrat shabāna roz
juz tār-e-ashk jāda-e-manzil nahīñ rahā
ai aah merī ḳhātir-e-vābasta ke sivā
duniyā meñ koī uqda-e-mushkil nahīñ rahā
andāz-e-nāla yaad haiñ sab mujh ko par 'asad'
jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā