tū dost kasū kā bhī sitamgar na huā thā
auroñ pe hai vo zulm ki mujh par na huā thā
chhoḌā mah-e-naḳhshab kī tarah dast-e-qazā ne
ḳhurshīd hunūz us ke barābar na huā thā
taufīq ba-andāza-e-himmat hai azal se
āñkhoñ meñ hai vo qatra ki gauhar na huā thā
jab tak ki na dekhā thā qad-e-yār kā aalam
maiñ mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na huā thā
maiñ sāda-dil āzurdagi-e-yār se ḳhush huuñ
ya.anī sabaq-e-shauq mukarrar na huā thā
dariyā-e-ma.āsī tunuk-ābī se huā ḳhushk
merā sar-e-dāman bhī abhī tar na huā thā
jaarī thī 'asad' dāġh-e-jigar se mirī tahsīl
ātish-kada jāgīr-e-samundar na huā thā